Happy Poetry, Best Shayari in Urdu

Happy Poetry is best way to express your words and emotion. Check out the amazing collection of express your feeling in words. This section is based on a huge data of all the latest Happy Poetry in Urdu that can be dedicated to your family, friends and love ones. Convey the inner feelings of heart with this world’s largest Happy Poetry in urdu 2 lines, Quotes & Shayari compilation that offers an individual to show the sentiments through words.
Samjha Uss Kay Dil Ka Mehmaan Hun Mein
Uss Ki Sahar Us Ki Shaam Hun Mein
Uss Ki Palkun Par Bicha Koi Armaan Hun Mein
Din Raat Dekhay Ju Us Nay Sapnay Shaied Wo Anjaan Hun Mein
Khu Gai Hay Ju Kahein Uss Ki Wo Muskaan Hun Mein
Sunta Raha Dil Ki Kasa Nadaan Hun Mein
Khatam Hu Gia Ju Sapna Usi Ki Talash Hun Mein
Shaied Ajh Bee Yad Ata Hun Mein Kitna Khushgumaan Hum Mein
When everything is perfect
When i am fully alive and feel every breath
It is the time when i have friends at my nearest
And having fun with my closest
A perfect life with nothing to loose
And the best moment to thank God for making life so smooth
Seeing myself this much happy makes me feel awesome
Because this is my beauty and make my life blossom!
Zulfo’n Ki Badli Se Nikla Koi Mahtaab Ho
Darya-e-Husn Ka Paykar Hai Ye Khubsurat Jabee’n
Seerat Ke Saanchey Se Dhala Koi Haseen Shabab Ho
Raatein To Humne Guzardi Karwat Lete Huey
Palko’n Ki Chadar Mein Saja Koi Khwaab Ho
Aankho’n Mei Behtey Huey Uus Jheel Ki Qasam
Paani Ke Bundo’n Se Uth-tee Koi Mahek Nayaab Ho
Surkh Phulo’n Mein Dhalti in Labo’n Ki Dastan
Nazuk Pankhdiyo’n Ki Koi Be-misal Intekhab Ho
Chandni Noor Uske Nafees Gaalo’n Per Utar Aya Hai
Labo’n Se Ho Na Jaye Gustakhi Wo Dilkash Hijaab Ho
Qalam Ki Siyahi Ruk Ruk Ke Chalti Hai Ulfat Ke Kaghaz Per
Mere Hatho’n Se Likhi Koi Pakeeza Kitab Ho
Aachal Ki Panah Mein Rakhna Hamesha Khushnuma Chehre Ko
Shakir Ki Mohabbat Ka Koi Anmol Khitaab Ho
Ranjish Ko Zilat Kahain
Sach Itna Sehal Nahi
K Har Waqt Kahain
Aao Hatheli Dubo Kar
Beeghi Hui Kismat Kahain
Chirag-E-Khuwab Jala Kar
Udhasi Ko Zulmat Kahain
Khuloos Ki Talkhi Ko
Kion Na Adawat Kahain
Waqt Sikha Gia Bohat Kuch
Kis Kis Ko Naseehat Kahain
مانگتا رہتا تھا دعا ہر کسی کے لیئے
مجھے دیکھ کے کوئی جیتا تھا میرا
میں جی رہا تھا تو فقط اسی کے لیئے
میرا دن تجھ سے شروع ہو تجھ پہ ختم
میں منتظر ہو اب تک اس زندگی کے لیئے
نہ دوست نہ دشمن نہ محبوب کے لیئے
یہ میری شاعری تو ہے آپ سبھی کے لیئے
میں نے ما نا کہ بڑی تنہا زندگی ہے تیری
تو ایک بار ہنس دے میری خوشی کے لیئے
Meri Sanad, Mere Hi Jese Shakhs Mein Hai
Wo Mera Tan Chuway, Man Mein She'r Ugaaye
Pairr Ki Hariyaali Barish K Lams Mein Hai
Soch Ka Rishta Saans Se Toota Jaata Hai
Lu Se Zyada Jabr Fazaa K Habs Mein Hai
Din Mein Kesi Lagti Ho Gi, Sochti Hun
Nadi Ka Saara Husn To Chaand K Aks Mein Hai
Meri Achai To Sbko Achi Lagti Hai
Us K Pyar Ka Markaz Mere Naqsm Men Hai
Aisi Khali Nasl K Khawb Hi Kya Hon Gey
Jis K Neend Ka Sarchashma Tk Chars Mein Hai
Gam Se Jalte Chehre Ko Raushni Na Samjha Jaye
Gaha Gaha Wahshat Main Ghar Ki Simt Jata Hun
Isko Dasht-E-Hairat Se Wapsi Na Samjha Jaye
Lakh Khushguman Duniya Bahimi Talluq Ko
Dosti Kahen Lekin Dosti Na Samjha Jaye
Ham To Bas Ye Kahte Hain Roz Jine Marne Ko
Ap Chahen Kuch Samjhen Zindagi Na Samjha Jaye
Khak Karne Walon Ki Kya Ajib Khwahish Thi
Khak Hone Walon Ko Khak Hi Na Samjha Jaye
Masla Phool Ka Hai Phool Kidhar Jayega
Ham To Samjhe The K Ek Zakhm Hai Bhar Jayega
Kya Khabar Thi K Rag-E-Jan Main Utar Jayega
Wo Hawaon Ki Tarah Khanabajan Phirta Hai
Ek Jhonka Hai Jo Ayega Guzar Jayega
Wo Jab Ayega To Phir Us Ki Rafaqat K Liye
Mausam-E-Gul Mere Angan Main Thahar Jayega
Akhir Wo Bhi Kahin Ret Pe Baithi Hogi
Tera Ye Pyar Bhi Dariya Hai Utar Jayega
Yun Afsurda Tu Hum Bhi Nahin
Par Janney Waley Jantey Hain
Khush Tum Bhi Nahin, Khush Hum Bhi Nahin
Tum Apni Khudi K Pehrey Mein
Hum Apni Zayem K Nargey Mein
Anaa Haath Hamarey Pakrey Huwey
Ik Mudat Se Galtaan Pechaa'an
Hum Apney Aap Se Uljhey Huwey
Pachtawoon K Aangaroon Mein
Mehsoor E Talatim Aaj Bhi Ho
Go Tum Ne Kinarey Dhoond Liye
Toofan Se Sambhlein Hum Bhi Nahin
Kehney Ko Saharey Dhoond Liye
Khamosh Se Tum, Hum Mehr Be Lab
Jug Beet Gey, Tuk Baat Kiye
Suno Khail Adhoora Chortey Hain
Bina Chaal Chaley, Bina Maat Kiye
Jo Bhagtey Bhagtey Thak Jaein
Woh Sayein Ruk Bhi Saktey Hain
Chalo Toroo Qasam Iqraar Karein
Hum Dono Jhuk Bhi Saktein Hain
Dil Ko Kar K Dar-E-Maan Kush Ho
Kya Kahon Kia Un Mohabaton Ka Suroor
Jin Mein Dard Ki Ur Kar Uraan Kush Ho
Patheron Ki Larai Mein Dil Kiun Phenka Tha
Kia Ghar Ko Ab Kar K Veraan Kush Ho
Dandh Raha Bewafai Ka Peeta Zamane Bhar Me
Meri Chahato Ko Agar K Qurbaan Kush Ho
Khatain Teri Bhi Apne Sar Uthaa Loun Ga
Tum Mujh Se Apni Door Kar K Jaan Kush Ho
Aesa Bhi Dunia Mein Koi Guzara Hai Adil
Sara Jis Se Aakhir Jahaan Kush Ho
Khawab Ko Tabeer Mil Jaey Tu Acha Hai
Jalay Koi Kab Taak Apny Ankho K Charagh
Musafer Jald Loot Aey Tu Acha Hai
Youn Tu Panchhi B Mayoos Ho K Ur Jaty Hain
Bahar Ager Waqt Pey Aa Jaey Tu Acha Hai
Waqt K Saath Jazbey Maar Jaaty Hain
Jazbo Ka Bharam Reh Jaey Tu Acha Hai
Office Me Khush Raho, Ghar Mein Khush Raho
Aaj Paneer Nahi Hai, Daal Mein Hi Khush Raho
Aaj Gym Jane Ka Samay Nahi, Do Kadam Chal Ke Hi Khush Raho
Aaj Dosto Ka Sath Nahi, Tv Dekh Ke Hi Khush Raho
Ghar Ja Nahi Sakte To Phone Kar Ke Hi Khush Raho
Aaj Koi Naraaz Hai, Uske Ish Andaz Mein Bhi Khush Raho
Jisse Dekh Nahi Sakte Uski Awaz Mein Hi Khush Raho
Jisse Paa Nahi Sakte Uske Yaado Mein Hi Khush Raho
Mba Karne Ka Socha Tha, Apne Job Mein He Khush Raho
Laptop Na Mila To Kya, Desktop Mein Hi Khush Raho
Bita Hua Kal Jaa Chuka Hai, Jo Meethi Yaadein Hai, Unme Hi Khush Raho
Aane Wale Pal Ka Pata Nahi Sapno Mein He Khush Raho
Haste Haste Ye Pal Beet Jaaenge, Aaj Mein Hi Khush Raho
Zindagi Hai Choti, Har Pal Main Khush Raho
Happy Poetry
Happy Poetry is an amazing collection of Urdu Poetry and poems based on joyous feelings and gestures. Poetry tends to be the best way to say your heart loud, to praise someone, or to motivate your loved ones.
Find out the best happy quotes that is based on all the famous quotes here. We have compiled all the handpicked Happy Poery in Urdu for our valuable visitors who are looking for an authentic source of learning, Reading, or sharing to their family and close friends. These poetries will surely give you a feeling of comfort as it is one of the best sources to show your inner emotions and to mold the heart of the one with whom you are sharing it.
Check out the latest collection of Happy Poetry in Urdu written by famous poets as well as read the latest Urdu Happy Quotes from the vast collection of new poets. Happy Shayari in Urdu text images are also available and easy to access. So don’t need to wait for more, explore the best poetry.
The update of life is such that we’re getting through it by reading poetry. It’s the only thing that brings a little peace in the midst of everything.
- Uzma , Peshawar
- Fri 25 Jul, 2025
Kuch alfaaz aise hote hain jo rooh ko chu jaate hain, baar baar parhne ka jee chahta hai.
- ushna , karachi
- Fri 04 Jul, 2025
Life is a journey of smiles and tears, Each moment a lesson, each scar a story. Still, we rise, hoping for better days ahead.
- Kinza , karachi
- Mon 30 Jun, 2025



