Add Poetry

Har Farde Kainaat Ki Apni

Poet: Sabahat Gul Sabah By: Sabahat Gul Sabah, peshawar

Har Farde Kainaat Ki Apni Apni Kahani Hai
Kisi Kay Kabon Pe Muskaan To Kisi Ki Ankh Me Pani Hai

Tasweer-E-Qismat Jo Aj Kisi Ki Dekhi Hai,Kal Jo Suna Tha Fasaana
Lagta Hai Apni Hi Kahani Me Ne Suni Kisi Ki Zubani Hai

Zamana-E-Zeest Ki Kami Ka Gham Kar Kay Din Kharab Mat Karna
Ye Bohot Tweel Hai,Kis Ne Kaha Chaar Din Ki Zindegani Hai

Ye Dunia Kis Kay Haal Pe Rehem Karti Hai
Aj Ek Ka Fasana Phelana To Kal Dusre Ki Bat Urani Hai

Jo Baat Dil Me Chupae Phirte Ho, To Kab Talak Poshida Rakhoge
Kisi Na Kisi Roz To Aa Kar Mujhe Hi Batani Hai

Dunia Jo Kehti Hai K Tumhara Pyar Faqat Dhoka He
Ese Me Yun Lgta Hai Jese Sari Dunia Hi Diwani Hai

Apna Gham Bhi Dil K Siwa Ksi Ko Btana Mat
Ye Tere Qeemti Ansuon Ki Qeemat Akhir Kis Ne Ginwani Hai

Raah-E- Zeest Par Ye Jo Ishq Ka Mor Kaata Hia
Kch Khabar Hai Tumhain,Yahan Do Pal Baad Sirf Virani Hai

Khud Ko Itna Mo'tbar Mat Samajh Sabah Faqat Itna Yad Rakh
Tmhari Moat Ki Khushi Bhi Akhir Ksi Ne To Manani Hai

Rate it:
Views: 471
22 Nov, 2010
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets