Add Poetry

Hashar Ke Khauf Jane Kahan Reh Gaye

Poet: Touqeer Ijaz Deepuk By: Touqeer Ijaz Deepuk, Jhang

Hashar Ke Khauf Jane Kahan Reh Gaye
Ban Ke Dil Waswason Ke Makan Reh Gaye

Dil Ke Naabeen Deedar Kar Na Sakay
Har Taraf Tairay Jalwey Ayaan Reh Gaye

Paasban To Faqat Apni Dhun Mein Chalay
Aur Peechay Bohat Karwan Reh Gaye

Aatish E Nafrat O Zid Dehakti Rahi
Aur Jaltay Kayie Aashiyaan Reh Gaye

Phool Bazaar Mein Laa Ke Baiche Gaye
Sar Jhukaaey Kharray Baghbaan Reh Gaye

Phir Kyun Taqdeer Ne Rubaroo Kar Diya
Jab Faqat Faaslay Darmian Reh Gaye

Ghup Andhera Huwa Uss Ke Jab Har Taraf
Uss Ne Poocha Ke Deepuk Kahan Reh Gaye
 

Rate it:
Views: 51
20 Jun, 2024
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets