Add Poetry

Hum Ab Bhi Nahi Badlay

Poet: Ayesha Arshad Khokhar By: Ayesha Arshad Khokhar, Sialkot Satrah

Dil Men Udaasi Labon Pe Muskurahat Hai
Saada C Tabbiyat Or Wahi Aadat Hai

Na Shikwa Hai Koi Na Koi Shikayat Hai
Dil Bujha Bujha Aeeb C Haalat Hai

Hum Aaj Bhi Usi Rah Pe Hain Chaltay
Tumhen Maloom Hai Jana Hum Ab Bhi Nahi Badlay

Har Dard Ko Seh Laina Har Gham Ko Chupa Laina
Kisi K Dard Ko Apnay Dil Se Laga Laina

Dy Kar Roshni Khud Andhairay Chura Laina
Kisi Se Kuch Na Kehna Bus Aansu Bahaa Laina

Koi Dil Bhi Tor Dy To Gila Nahi Kartay
Tumhen Maloom Hai Jana Hum Ab Bhi Nahi Badlay

Yeh Such Hai K Tum Se Mohabbat Ki Thi
Teri Be Rukhi Pe Na Shikayat Ki Thi

Zamaanay Ne Hum Se Adaawat Ki Thi
To Tum Ne Bhi Jee Bhar K Baghaawat Ki Thi

Tere Jaise Kai Log Aaj Bhi Hain Miltay
Tumhen Maloom Hai Jana Hum Ab Bhi Nahi Badlay

Rate it:
Views: 1142
23 Aug, 2018
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets