Hum Aksar Ye Samajhte Hen
Jisay Ham Piyar Karte Hen
Usse Ham Bhool Jate Hen
Ya
Hamen Wo Bhool Jata Hai
Magar
Aisa Nahi Hota
Mohabbat Dayemi Such Hai
Mohabbat Thehar Jati Hai
Hamari Baat Ke Andar
Mohabbat Beth Jati Hai
Hmari Zaat K Andar
Magar Ye Kam Nahi Hoti
Kisi Bhi Dukh Ki Surat Main
Kabhi Koi Zarurat Main
Kabhi Anjane Say Gham Main
Kabhi Lehje Ki Thandak Main
Kabhi Barish Ki Surat Main
Hamari Aankh K Andar
Kabhi Aab-E-Rawan Ban Kar
Kabhi Qatre Ki Surat Main
Bazahir Aisa Lagta Hai
Usse Ham Bhool Jate Hen
Ya
Hamen Wo Bhool Jata Hai
Magar Aisa Nahi Hota
Ye Hargiz Kam Nahi Hoti