Hum Ne Jise Chaha Zindagi Ki Tarah
Ab Wo Humare Paas Se Guzar Jaate Hain Ajnabiyon Ki Tarah
Thay Hum Jin Ko Kabhi Jan Se Ziada Azeez
Ab Wo Humare Saath Sulook Karte Hain Parayon Ki Tarah
Kehte Thay Jo Humain Kabhi Phool
Ab Wo Humain Pairo Talay Kuchal Dete Hain Kanton Ki Tarah
Karte Thay Jo Kabhi Sada Wafa Nibhane Ki Batain
Ab Wo Humain Chor Kar Chal Diye Be Wafaon Ki Tarah
Mohabbat Thi Jinhe Humari Muskurahat Se
Ab Wo Humain De Jate Hain Ashk Ki Barssat Badalon Ki Tarah
Hum Ne Jise Chaha Zindagi Ki Tarah
Ab Wo Humare Paas Se Guzar Jaate Hain Ajnabiyon Ki Tarah