Husn Aur Waqt
Poet: Muhammad Nawaz By: Muhammad Nawaz, sangla hillUskay Bol Hawa Ka Jhonka
 Khushboo Uss Ke Naam Ki Daasi
 
 Uski Chaal Samay Ka Pekar
 Uski Aankhain Jheel Kinaara
 
 Nazak Badan Gulaab Ki Patti
 Chehra Jaisay Sehri Taara
 
 Baat Karay Tu Moti Chhalkain
 Muskaay,Jag Joomay Sara
 
 Jab Wo Chalti Tu Yoon Lagta
 Jaisay Mast Bahaar Aai Hai
 
 Lamhon Ki Gardish Ne Kya Kya
 Soorat Apni Dikhlaai Hai
 
 Tab Thi Wo Mehfil Ki Raonaq
 Ab Hay Wo Ya Tanhaai Hai
 
 Jhurrion Walay Chehray Pe Ab
 Na Wo Husn Na Raanai Hai
 
 Maathay Per Fikron Ki Lahrain
 Rooh Main Gham Ki Angraai Hai
 
 Uski Aik Jhalak Ka Shaida
 Uski Aik Nazar Ka Khwahan
 
 Harjaai,Betarb Zamana
 Ab Khamosh Tamashai Hai
More Sad Poetry







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 