Idhar Dua Ki Sama'aton Ka Riwayati Asmaan Bhi Chup
Idhar Sisaktay Huwe Labon Ka Barhana Tarz-E- Bayaan Bhi Chup
Na-Jaany Kin Khuwahishon Ki Shiddat Ka Shor Kamray Mein Gonjta Tha
Na-Jaanay Kya Keh Gayi Hawa Ho Gaya Khaali Makan Bhi Chup
Nayi Ruto'n Ne Hawa Ki Ru Se Na-Jaanay Kya Saaz-Baaz Kar Li
Keh Sabz Sadiyun Se Goonjti Aa Rahi Nida-E- Aza'n Bhi Chup
Kahi'n Koi Sar- Phiri Nida Parda Sama'aat Bhi Noch Daali
Magar Kahi'n Dasht-E-Samaat Se Ehtajaji Zuban Bhi Chup
Pukaarta Tha Panah Le Le Koi Bhi Saaye Mein Mere 'Aazar'
Thi Dhoop Aisi Humaray Sar Pe Keh Ho Gaya Sayebaan Bhi Chup