Ik Pagal Sa Larka Tha
Poet: tuseef ahmad kashaaf By: sher, fsdIk Paagal Sa Larka Tha
 Apnay Aap Main Gum Sum Sa
 Zakham Milay Tu Bhi Muskata Rehta Tha
 Logon Pe Aitbaar Ker K Us Ne Bohat Dhokay Khaay
 Jitnay Bhi Dost Milay Sabb Ne Usay Zakham Lagaay
 So Sabb Se Door Khawab Nager Main
 Us Ne Apni Dunia Basa Li
 Apni Jannat,Apna Dozakh,Apnay Log
 Apnay Dukh Apnay Aap Se Kehta Tha
 Sabb K Dukh Apnay Dukh Samjhta Tha
 Sabb Main Apni Khushian Baant'ta Rehta Tha
 Us Ki Dunia Main Hawass Ka Ziker Na Tha
 Us Ki Dunia Main Dolat Ki Perwa Na Thi
 Us Ki Dunia K Khushboo Jesay Log Thay
 Us Ki Dunia Main Naferton Ki Hawa Na Thi
 Phir Jaanay Us Pagglay Ko Kis Ki Nazer Lagi
 Us Ko Bhi Ik Chaand Nager Ki Raani Se
 Muhabbat Ho Gayee
 Us Ki Apni Dunia,Takht-O-Taaj
 Chaahat Aag Main Jall Gay
 Us Ki Dunia Ujer Gayee
 Us Ne Chanda Raani Ko Paana Chaaha Tu
 Us Ki Hasti Bikher Gayee
 Zaat Paat K Pujaarion Ne
 Jhooti Dunia K Shaahon Ne
 Us K Dil Ko
 Rooh-O-Jigar Ko
 Zakham Zakham Kia
 Us Ki Muskaan Chheen Li
 Suna Hay Us Ne Muhabbat Per Sabb
  Tann Mann Dhann Waar Dia Tha
 Raah-E-Wafa Main
 Naam-E-Wafa Per
 Apna Sabb Kuchh Haar Dia Tha
 Per Dunia Ne Us Ko Gham K Siwa Kuch Na Dia
 Phir Us Ne Marr Jana Chaaha
 Per Mout Na Maani
 So Suna Hay Abhi Bhi Kisi Laash Ki Maan'nad Zinda Hay
 Abhi Bhi Khokhlay Qehqahay Lagata Hay
 Aur Raat Ko Sab Se Chhup Ker Chaand K Sath Mil Ker
 Aansoo Bahaata Hay
 Suna Hay Aajkal Us Ko Muhabbat Se Nafrat Ho Gayee Hay
 Apni Dunia Alag Se Banaanay Ki Soch Raha Hay
 Phir Se Apni Dunia Main Jaanay Ki Soch Raha Hay
 So Sab Chaahnay Walo Dua Kero
 Ye Pagla Sa Larka Jis Ko Jhooti Dunia Ne
 Masoom Natt Khtt Larkay Se
 Bikhera Toota Aadmi Bana Dia
 Jis K Khawab Nager Ko Jala Dia
 Phir Se Apni Dunia Basanay Main Kamyab Ho Jay
 Apni Masti Main Kho Jay Phir
 Chaahat Rog Ko Bhula De
 Is Sog Ko Bhula De








 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 