Add Poetry

Ik Umar Kat Gai

Poet: firaq ghoraq pori By: zaman farooqi, karachi

Ye Nikhaton Ke Narm Ravi Ye Hawa Ye Raat
Yaad Aa Rahe Hain Ishq Ke Tute Ta’alluqat

Mayusiyon Ke God Mein Dam Todata Hai Ishq
Ab Bhi Koi Bana Le To Bigadi Nahi Hai Baat

Ik Umr Kat Gai Hai Tere Intazar Mein
Aise Bhi Hain Ke Kat Na Saki Jin Se Ek Raat

Hum Ahal-E-Intazar Ke Aahat Pe Kan The
Thandi Hawa Thi Gham Tha Tera Dhal Chali Thi Raat

Har Sai-O-Har Amal Mein Muhabbat Ka Hath Hai
Tamir-E-Zindagi Ke Samajh Kuch Muharakat

Ahal-E-Raza Mein Shan-E-Bagavat Bhi Ho Zara
Itni Bhi Zindagi Na Ho Paband-E-Rasmiyat

Uth Bandagi Se Malik-E-Taqadir Ban Ke Dekh
Kya Vasvasa Azab Ka Kya Kavish-E-Nijat

Mujh Ko To Gham Ne Fursat-E-Gam Bhi Na Di “Firaq”
De Fursat-E-Hayat Na Jaise Gam-E-Hayat

 

Rate it:
Views: 1527
25 Aug, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets