Add Poetry

Insaan

Poet: Usman Arif By: Usman Arif, Lahore

Insan To Hun Per Kaam Ka Nahi
Shayar Hun per Kisi Naam Ka Nahi
Khudgarz Hun Per Kisi Intaqam Ka Nahi
Likhta Hun Per Kisi Kaam Ka Nahi
Jo Millta Nahi Hun Kisi Se... Log Kehte Hain Kisi Kaam ka Nahi
Gham Dill Tak Chupa Rakhay Hain
Yahan Kis Ko Batao Koi Kisi Kaam Ka Nahi
Dunia Dekhawa Hai Aur Dekhawa Kisi Kaam Ka Nahi
Andehra Lagta Hai Sham Kaa Per Hai Sham Ka Nahi
Kalam Jo Tuta Hai Kisi Kaam Ka Tha Nahi
Ye Bechara Likhta Dill Ki Tha
 Aur Jo Logon Ko Pasand Na Aye Wo Kisi Kaam Ka Nahi
Ager Hota Main Kisi Kaam Ka To Wo Aa Na Jata
 Kisi Kaam Se Us Ko Mujh Se Koi Kaam Tak Nahi
Chalo Choro Sochna Ab Ye Mera Kaam Nahi
Keha To zuban Se Per Dill Se Kabhi Inkar Nahi
Gehri Baatain Yaadon Mein Dobi Hain
Samandur To Hai Per Kashti Ka Naam Tak Nahi
Dill To Hai Per Arman Tak Nahi
Muqadar Ka Hara Huwa Sikandar Hun
Muqadar To Hai Per Kisi Kaam Ka Nahi
Sochne Se Lafz Banaye Banaye Lafz Hazar
Kaam Aye Naa Jo Kisi K Wo Kisi Kaam K Nahi

Rate it:
Views: 606
04 Apr, 2019
Related Tags on Life Poetry
Load More Tags
More Life Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets