Intazamat Naye Sire Se Sambhale Jain.

Poet: Rahat Indori By: Rainy Eyes, Kotri Kabir

Intazamat Naye Sire Se Sambhale Jain
Jitne Kam Zarf Hain Mehfil Se Nikale Jain

Mera Ghar Aag Ki Lapaton Mein Chhupa Hai Lekin
Jab Maza Hai Tere Aangan Mein Ujale Jain

Gham Salamat Hai To Peete Hi Reh Paye Lekin
Pehle Maikhane Ki Halat Sambhale Jain

Khali Waqton Mein Kahin Baith Ke Wo Ro Lain Yaaro
Fursatein Hain To Samandar Hi Kan Gaale Jain

Khak Mein Youn Na Mila Zabt Ki Toheen Na Kar
Ye Wo Aansoo Hain Jo Duniya Ko Baha Le Jain

Hum Bhi Piyase Hain Ye Ahsaas To Ho Saqi Ko
Khali Sheesha Hi Hawaon Mein Uchhale Jain

Aao Shehr Mein Naye Dost Banain Quot RAHAT Quot
Asteeno Mein Chalo Sanp Hi Paale Jain

Rate it:
Views: 828
14 Apr, 2014