Sawan Ke Aane Se Ya Khizan Ke Jane Se
Chahe Barsat Mai Darkhton Ke Bheg Jene Se
Tare Jagmagate Hon Ya Koyal Ke Gungunane Se
Jub Chand Pora Ho Ya Suraj Ke Doob Jane Se
Aansuon Ko Pina Ho Ya Un Ke Bahane Se
Tanhai Main Bethna Ho Ya Mehfil Main Jane Se
Ratoon Ko Jagna Ho Ya Tez Hawa Ke Chal Jane Se
Bijli Ki Karak Ho Ya Tufanoon Ke Aajane Se
Kuch Bhi Fark Nai Hota Hai
Kisi Ke Aane Ya Chale Jane Se
Intizaar Tera Hi Kar Raha Hoon
Ik Arsa Beet Jane Se