“Iqbal-E-Jurm Kaun Karta Hai”?
Jo Baat Aksar Ki Jaye
Who Baat Adhoori Rehti Hai
Azmat Hai Zaat Aurat Ki
Wafa Hai Zaat Aurat Ki
Magar Jo Mard Hote Hain
Mana Bedard Hote Hain
Kisi Bhanware Ki Surat
Khushbooain Loot Lete Hain
Mere Humnasheen
Shaed Tu Ne Nehi Dekha
Aksar Jo Mard Hote Hain
Ishq Zaat K Hote Hain
Kisi Parwane Ki Surat
Kisi Shama Ki Qurbat Main
Jal Kar Raakh Hote Hain
Par Ishq Chhorh Nehi Sakte
Riwayat Torh Nehi Sakte
Mere Hum-Noowa
Wafa Ki Rah Main Aksar
Waedey Toot Jate Hain
Sath Chhoot Jate Hain
Koi Ilzaam Detta Hai
Koi Ilzaam Letta Hai
Magar Riwayatoo Ki Sooli Pe
Riwayat Toot Jati Hai
Wafa Chhoot Jati Hai
Mere Hum-Dam
Magar Aik Sach Aesa Hai
Jo Duniya Jaan Nehi Pai
K Wafa Ki Puttli Yeh Aurat
Kitni Majboor Hoti Hai
Ghamoo Se Choooor Hoti Hai
Zakhm Seene Main Rakh Kar B
Apna Farz Nibhati Hai
Apne Armanoon Ki Basti Ko
Khud Hi Aag Lagati Hai
Par Apna Farz Nibhati Hai
Warna
Aurat Zaat Aesi Hai
Wafa Jo Chorh Nehi Sakti
Riwayat Torh Nehi Sakti