Iqbal Teray Dais Ka Kiya Haal Sunaoon
Dehqan To Mar Khap Gaya Ab Kisko Jagaoon
Milta Hai Kahan Khosha-E-Kandum K Jalaon
Makaari-O-Ayaar-O-Gadaari-O-Hijaan
Ab Banta Hai In Chaar Anasir Say Muslaman
Qari Essay Kehna To Bari Baat Hai Yaro
Iss Nay To Kabhi Khool K Daikha Nehi Quraan
Baibaki-O-Haq Goi Say Ghabrata Hai Momin
Makaari-O-Robahi Pay Etraata Hai Momin
Jis Rizk Say Parvaaz Main Kotahi Ka Dar Ho
Wo Rizk Baray Shok Say Khata Hain Momin
Shaheen Ka Jahan Ab Mamolay Ka Jahan Hai
Milti Hui Mulla Say Mujahid Ki Azaan Hai
Mana K Sitaron Say Bhi Agay Hain Jahan Aur
Shaheen Main Magar Taqat-E-Parvaaz Kahan Hai
Kirdar Ka, Guftaar Ka, Amaal Ka Momin
Qaail Nehi Aisay Kisi Janjaal Ka Momin
Sarhad Ka Hai Momin, Koi Bangaal Ka Momin
Dhoondhay Say Bhi Milta Nehi Quraan Ka Momin
Har Darhi Main Tinka Hai, Har Aankh Main Shehteer
Momin Ki Nigahoon Say Ab Badalti Nehi Taqdeer
Toheed Ki Talvaaron Say Khali Hain Niyamain
Ab Zoq-E-Yaqeen Say Nehi Kati Koi Zanjeer
Daikho To Zara Mahalon Kay Pardo Ko Utha Kar
Shamsheer-O-Sina Rakhi Hain Taqqo Main Saja Kar
Aatay Hain Nazar Masnad-E-Shahi Pay Rangeelay
Taqdeer-E-Ummam Soo Gai Tauos Pay Aa Kar
Mar Mar Ki Silon Say Koi Baizaar Nehi Hai
Rehnay Ko Haram Main Koi Tayaar Nehi Hai
Kehnay Ko Har Shakhs Musalman Hain Lakin
Daikho To Kahen Naam Ko Qirdar Nehi Hain