Add Poetry

Iss Intazar Ki Ghari Mein

Poet: Seep Butt By: Seep, lahore

Iss Intazar Ki Ghari Mein
Yeh Kaise Khamoush Si Tanhai Hai
Iss Dil Ko Kisi Pal Karar Nahi Aata
Kuch Kahna Chahon Tu Kah Nahi Pati
Kuch Sochna Chahon To Soch Nahi Pati
Aab Nigahon Mein Wo Pahley Si Chamak Nahi Rahi
Aab Hansi Mein Wo Pehli Si Khanak Nahi Rahi
Aab Chahrey Per Wo Pahley Ki Zindagi Nahi Rahi
Aab Baton Ka Pehla Sa Andaz Nahi Raha
Aab Muhobaton Mein Pahla Sa Karar Nahi Raha
Wo Baat Bey Baat Per Hasna
Aur Sab Ko Hasaney Ki Koshishein Karna
Woh Sab K Liye Dil Mein Muhobatein Rakhna
Wo Sabki Muhobaton Ko Jagaey Rakhna
Wo Aik Mahfil Ka Mahool Banaye Rakhna
Aab Jab Yeh Sab Khuab Ho Gaya
Muskurahaton Ki Jaga Udasi Ney Ley Li
Muhobaton Ki Jaga Narazagi Ney Ley Li
Mehfalon Ki Jaga Tanhai Ney Ley Li
To Mein Ney Un Yaadon Ko Aapne
Dil Key Kabrastan Mein Dafan Liya
Lekin Yeh Dil Seh Nahi Pata
Iss Dil Ko Kisi Pal Karar Nahi Aata
Aur Iss Intazar Ki Ghari Mein
Yeh Jo Khaoush Si Tanhai Mein
Aab Tu Yeh Bhi Hum Say Baat Nahi Karti

Rate it:
Views: 558
19 Jul, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets