Ja Chuka Hai Us Ka Safar Bhool Ja
Khak Palkon Se Dho Rahguzar Bhool Ja
Ajnabi Ban Ke Dekh Us Ki Jarveer Ko
Yaad Rakhne Ke Sare Hunnar Bhool Ja
Phir Se Aabad Kar Dil Ke Pa Taal Ko
Us Ka Gaon Gali Baam_O_Dar Bhool Ja
Orh Le Khud Pe Duniya Ki Sab Ronaqein
Zid Na Kar Ab Usay Chashm_E_Tar Bhool Ja
Yaad Rakh Us Ki Baaton Ke Sab Zaiqe
Us Ke Wadon Ki Lazat Magar Bhool Ja
Palkon Palkon Bicha Piyas Ki Tairgi
Aankh Mein Chandni Ke Bhanwar Bhool Ja
Us Ke Aane Na Aane Se Ab Darguzar
Apne Hone Na Hone Ka Dar Bhool Ja
Khud Se Wabasta Ruswaion Ki Tarah
Us Ki Shohrat Ki Taza Khabar Bhool Ja
Ab To Youn Hai Ke MOHSIN Har Ek Yaar Ko
Lamha Bhar Ke Liye Yaad Kar Bhool Ja