Ja Chuka Hai Wo, Us Ka Safar Bhool Ja
Khaak Palkon Se Dho, Rahguzar Bhool Ja
Ajnabi Ban Ke Dekh Us Ki Tasveer Ko
Yaad Rakhne Ke Saare Hunnar Bhool Ja
Phir Se Aabad Kar Dil Ke Patal Ko
Us Ka Gaaon, Gali, Dam_O_Dar Bhool Ja
Aorh Le Khud Pe Duniya Ki Sub Ronaqen
Zid Na Kar, Ab Usay Chashm_E_Tar Bhool Ja
Yaad Rakh Us Ki Baaton Ke Sub Zaiqay
Us Ke Waadon Ki Lazat Magar Bhool Ja
Palkon Palkon Bichha Piyas Ki Tairgi
Aankh Mein Chandni Ke Bhanwar Bhool Ja
Us Ke Aane Na Aane Se Ab Dar Guzar
Apne Hone Na Hone Ka Dar Bhool Ja
Khud Se Wabista Ruswayion Ki Tarh
Us Ki Shohrat Ki Taza Khabar Bhool Ja
Ab To Youn Hi Keh MOHSIN Har Aik Yaar Ko
Lamha Bhar Ke Liye Yaad Kar Bhool Ja