Jagaa Sakey Na Terey Lub, Lakeer Aisi Thi
Humarey Bakht Ki Raikha Bhi, Meer Aisi Thi
Ye Haath Chomey Gaye, Phir Bhi Be-Gulaab Rahey
Jo Rutt Bhi Aai Khizaan K Safeer Aisi Thi
Wo Merey Paon Ko Choney Jhuka Tha Jis Lamhey
Jo Mangta Usey Deti, Ameer Aisi Thi
Shahadatain Merey Huq Main Tamam Jaati Theen
Magar Khamosh They Munsif, Nazeer Aisi Thi
Kutar K Jaal Bhi Sayyad Ki Raza Ke Baghair
Tamaam Umar Na Urti, Aseer Aisi Thi
Phir Us Ke Baad Na Dekhey Visaal Ke Mausam
Judaiyon Ki Ghari Chashm Geer Aisi Thi
Bas Ik Nigah Mujhe Dekhta, Chala Jata
Us Aadmi Ki Mohabbat Faqeer Aisi thi
Rida K Saath Luterey Ko Zaad-e-Raah Diya
Teri Firagh Dili, Merey Veer Aisi Thi
Kabhi Na Chahney Walon Ka Khoon Baha Manga
Nigaar-e-Sheher-e-Sukhan Be-Zameer Aisi Thi