Add Poetry

Jala Kay

Poet: dont know By: Noman Brohi, karachi

Jala Kay Tu Bhi Agar Asra Na Day Mujhko
Yeh Khauf Hai Kay Hawa Phir Bujha Na Day Mujhko

Main Is Khayal Say Mur Mur Kay Dekhta Hun Ussay
Bichar Kay Woh Bhi Kahin Phir Sada Na Day Mujhko

Fiza-E-Dasht Agar Ab Main Ghar Ko Yaad Karun
Woh Khak Uray Kay Hawa Rasta Na Day Mujhko

Bus Is Khayal Say Main Shab Bhar Soo Nahi Sakta
Kay Khauf-E-Khuwab-E-Gushta Jaga Na Day Mujhko

Teray Bagair Teri Tarha Main Zinda Rahun
Yeh Hosla Bhi Dua Kar Khuda Na Day Mujhko

Main Is Liye Bhi Ussay Khud Manaoo Ga Mohsin
Kay Mujhsay Roothnay Wala Bhula Na Day Mujhko!
 

Rate it:
Views: 759
09 Apr, 2008
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets