Jis Ghari Tujhko Bhot Dair Tak Socha Karta
Tarey Hi Naam Se Phir Ek Ghzal Likha Karta
Teri Khushio K Lia Ghum Ko Chupaya Karta
Ashk Ankho Mein Lia Tujhko Hansaya Karta
Han Mujay Yad Hai Wo Rat Ka Manzr Ab Bhi
Tujh Ko Taktey Huey Har Rat Jo Soya Karta
Apney Uljhey Huey Balon Sey Ulajhti Jo Kabi
Apney Hathon Sey Tarey Ball Sanwara Karta
Kitney Pyarey They Wo Bachpan K Guzarey Lamhey
Jaab Khilono Ko Chupa Kar Tujhey Chhera Karta
To Jo Phir Roth Key Ankho Sey Chali Jati Door
Paglon Ki Tarha Din Bhar Tujhey Dhonda Karta
Mary Hathon May Usi Phool Ki Khushbo Hai Basi
Tarey Balon Mein Joo Har Roz Lagaya Karta
Kia Tujhey Yad Hai Jab Rothti Thi To Mujhsey
Kasey Bachon Ki Tarha Tujhko Manaya Karta
Yad Ata Ha Mujhey Waqtey Judai Ka Wo Ashk
Tujsey Moon Pher K Chupky Sey Jo Nikla Karta
Wo Jo Khawbo Ka Ek Ghr Humnay Banaya Tha Kbi
Ab Haqeqat Mey Wohi Ghar Tujhey Dhonda Karta
Tujh Se Milta To Bhot Dair Tak Batein Karta
Teri Nazuk Si Kalai Sey Main Khela Karta
Teri Ankho Sey Har Ek Ansoo Metaya Karta
Phir Tujhay Pyar Ka Ek Geet Sunaya Karta
Tha Yaken Dil Mey K Tu Muj Say Bechar Jay gi
Phir Bhi Umeed Ka Aik Deep Jalaya Karta
Yad Ati Hein Zaheer Sari Duaen Abb Bhi
Jab Khuda Say Tujhy Ro Ro K Mai Manga Karta