Nind Aankho’n Mein Hai, Magar So Nahi Sakta
Gham Dil Mein Chupa Hai, Magar Ro Nahi Sakta
Ye To Waqt Ka Tufa’n Hai, Jo Gherey Huey Hai
Kashti Hai Samne, Magar Kinare Ja Nahi Sakta
Ek Pal Mein Savera, Ek Pal Mein Andhera
Qudrat Ke Is Faisle Ko Koi Badal Nahi Sakta
Ghairo’n se zyada Apno se Darr Lagta Hai
Is Be-rukhi Ke Bojh ko Ab Dho Nahi Sakta
Yaado’n Ki Dhundli Tasveer par Kuch Gard si Jami Hai
Aks to Mit Chuka Hai, Magar Chehra Bhool Nahi Sakta
Meri Wafa par Ilzam Dene Wale Kuch to Soch Le Zara
Jo Daagh Daaman Pe Lagaya Hai, Usey Chupa Nahi Sakta
Bahot Koshish Ki Thi Shakir, Apni Wafa Nibhane Mein
Badley Huey Mausam ko Ab Main Bhi Badal Nahi Sakta