Jo Muj Se Poocha Aaaj Tum Nay
Main Tumhara Hoon Kia Batao
Tu Khud Hi Sochoo Tum Aik Pal Ko
Bhala Main Tumhain Kaisay Bataoon
Hay Tum Se Mera Wohi Taluq
Wohi Jo Khursheed Se Qamar Ka
Guloon Se Hota Hay Mahak Ka
Kisi Ki Aankh K Mast Doroon Se
Us K Mahboob Ki Jhalak Ka
Wohi Taluq Hay Tum Se Mera
Jo Dil Se Hota Hay Dharknoon Ka
Khumaar Se Aaye Maykashoon Ka
Jo Shairoon Se Mahwashoon Ka
Jo Husan Waloon Se Diljaloon Ka
Hay Zahad Se Jo B Zahdoon Ka
Jo Rastoon Se Hay Manziloon Ka
Jo Manziloon Se Hay Rahbroon Ka
Azal Se Dharti Se Parbtoon Ka
Wohi Hay Sagar Se Sahiloon Ka
Jo Rooh Se Hay Kisi Badan Ka
Jo Barishon Ka Kisi Zameen Se Hay
Ibadtoon Ka Chain Se Hay, Wohi Taluq
Azal Se Apnay B Darmiyaan Hay
Tum Hi Baharoon Ki Dalkashi Ho
Tum Hi Aankh Ki Roshni Ho
Jo Sach Kahoon Tum Meri Khushi Ho
Tum Hi Ujala Tum Hi Subah Ho
Tum Azroo Ho, Tum Hi Wafa Ho
Tamaam Jazboon Ki Intehaa Ho
Tu Kion Na Tum Par Ye Dil Fida Ho
Batao Jana !!! Hay Itna Kafii
K Or Kuch B Tumhain Bataoon
Jo Ho Sakay Tu Khaiyaal Rakhna
Tumhara Muj Se Wohi Hay Rishta
Malaika Se Jo Bandgi Ka
Jo Marnay Waloon Se Zindagi Ka
Samndroon Ka Jo Seep Se Hay
Wohi Jo Ankhoon Ka Deep Se Hay