Add Poetry

Jub Roshni Ka Mela Tha

Poet: Hassaan zafar khan By: hassaan zafar khan, islamabad

Jub Roshni Ka Mela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha
Khawabon Ki Ik Khani Thee
Baa Rung Zindagani Thee
Who Jugno-Oon Ka Mela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha

Sansoon Ki Jesay Sargum Thee
Phulon Ki Khusboo Hardum Thee
Gulzar O Gul Jhamela Tha

Main Bin Mashal Akela Tha


Thandi Hawa Ki Oongh Thee
Barissh Ki Pehli Bond Thee
Barsaat Ka Waweela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha

Suraj Ki Pehli Shuaa Sy
Us Din Ki Ibtada Sy
Mehzooz Har Akela Tha, Par
Main Bin Mashal Akela Tha

Har Bansuri Ko Sur Mila
Har Jan Ko Chain-E-Pur Mila
Kesa Yeh Khel Khela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha

Kirnoo Ki Itni Kasrat Thee
Saay Ki Teray Hasrat Thee
Abr-E-Chasam He Jhela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha


Yadon Nay Teri Ghera Tha
Khawabon Main Tera Phera Tha
Sochon Ka Teri Mela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha

Teray Lotnay Ki Aas Thee
Kalb-O-Khirad Ki Pas The
Takkayul –E- Hassan Albela Tha
Main Bin Mashal Akela Tha
 

Rate it:
Views: 644
12 May, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets