Kaati Hai Ghum Ki Raat Baray Ehtram Se
Aksar Bujha Chuke Hain Chiragon Ko Shaam Se
Roshan Hai Apni Bazm Or Is Ehtimaam Se
Kuch Dil Bhi Jal Rahay Hain Chiragon K Naam Se
Muddat Hui Hai Khoon-E-Tamanna Kiiye Magar
Ab Tak Tapak Raha Hai Lahu Dil K Jaam Se
Subha-E-Bahar Hamko Bulati Rahi Magar
Ham Khailte Rahay Kisi Zulfon Ki Shaam Se
Har Saans Per Hai Maut Ka Pehra Laga Hua
Ahista Ay Hayat Guzar Is Maqaam Se
Kaati Tamaam Umar Fareb-E-Bahar Main
Kaante Samet'te Rahay Phoolon K Naam Se
Ye Aur Baat Hai K DUA Ham Ne Usey Di
Awaaz Us Ne Di Hai Hamain Har Maqaam Se