Add Poetry

Kaawish

Poet: Neelam (parii) By: Neelam, Lahore

Kisi Ko Raah-Guzar Dekha,
Kisi Ko Raah-Ba-Dar Dekha
Kisi Ko Mohsin Dekha,
Kisi Ko Qaatil Hee Dekha
Kisi Ko Qarb Mein Dekha,
Kisi Ko Zabt Mein Dekha
Kisi Ko Sar-E-Aaina Dekha,
Kisi Ko Pas-E-Aaina Dekha
Kisi Ko Ruu-Ba-Ruu Dekha,
Kisi Ko Pas-E-Pusht Hee Dekha
Kisi Ko Shehanshah Dekha,
Kisi Ko Bhikaari Dekhaa
Kisi Ko Adaa Mein Dekha,
Kisi Ko Qazaa Mein Dekha
Kisi Ko Qaraar Mein Dekha,
Kisi Ko Faraar Mein Dekha
Kisi Ko Baa-Ham Dekha,
Kisi Ko Bichartey Huey Dekha
Kisi Ko Bharm Mein Dekha,
Kisi Ko Sharm Mein Dekha
Kisi Ko Aarzoo Mein Dekha,
Kisi Ko Justuju Mein Dekha
Kisi Ko Anaa Mein Dekha,
Kisi Ko Jhuktey Huey Dekha
Kisi Ko Maangtey Dekha,
Kisi Ko Dhutkaartey Dekha
Kisi Ko Rabt Mein Dekha,
Kisi Ko Wabastaagi Meim Dekha
Kisi Ko Wasf Mein Dekha,
Kisi Ko Wajd Mein Dekha
Kisi K Haal Ko Dekha, Kisi K Khayal Ko Dekha
Bus Naa Dekha To Khud Ko Hee Naa Dekha
 

Rate it:
Views: 388
22 May, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets