Kabhi Akele Mein Milkar Jhinjhod Dunga Use
jahan jahan se wo toota hai jod dunga use
mujhe wo choe gaya ye kamal hai us ka
irada main ne kiya tha ki chor dunga use
badan chura ke wo chalta hai mujh se shisha-badan
use ye dar hai ki main toe phor dunga use
pasine banta phirta hai har taraf suraj
kabhi jo hath laga to nichor dunga use
maza chakha ke hi mana hun main bhi duniya ko
samajh rahi thi ki aise hi chor dunga use