Kabhi Dil KissI Say Laga Ker
Poet: Nusrat Fateh By: Farrukh Raees, karachiTumhain Dil Lagi Bhool Jani Paray Gii 
 Muhabat Ki Rah Main Aa Kar Tu Dekho 
 Tarapny Pay Meray Na Phir Tum Hansso Gay 
 Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker Tu Dekho 
 Honthoun Kay Pass Aye Hanssi Kaya Majal Hy 
 Dil Ka Mamula Hy Koi Dil Lagi Nahi 
 Zakham Pay Zakham Kha Kay Jee 
 Apny Lahoo Kay Ghoont Pii 
 Aah Na Kar Laboun Ko Sii 
 Eshq Hy Dil Lagi Nahi 
 Dil Laga Kar Patta Chalay Ga Tumhain 
 Ashqi Dil Lagi Nahi Hotti 
 Kuch Kheel Nahi Eshq Ki Laag 
 Panni Na Samaj Ya Aag Hy Aag 
 Khoon Rulaye Gi Ya Lagi Dil Ki 
 Kheel Samjo Na Dil Lagi Dil Ki 
 Ya Eshq Nahi Aasan Bss Itna Samaj Lijay 
 Ek Aag Ka Darya Hy Orr Doob Kay Jana Hy 
 Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Paray Gii 
 Muhabat Ki Rah Main Aa Ker Tu Dekho 
 Tarapny Pay Meray Na Phir Tum Hansoo Gay 
 Kabhi Dil Kisi Say Laga Ker Tu Dekho 
 Wafaoun Ki Hum Say Tawaqo Nahi Hy 
 Maghar Aik Baar Azma Ker Tu Dekho 
 Zamany Ko Apna Bana Ker Tu Dekha 
 Humain Bi Tum Apna Bana Ker Tu Dekho 
 Khuda Kay Liya Chore Do Ab Ya Parda 
 Rukh Say Niqab Utha Kay Bari Deer Ho Gai 
 Mahool Ko Talawat-E-Quran Kiya Hoye 
 Hum Na Samje Teri Nazroun Ka Taqaza Kaya Hy 
 Kabhi Parda Kabhi Jalwa Ya Tamasha Kaya Hy 
 Khuda Kay Liya Chore Do Ab Ya Parda 
 Kay Hain Ajj Hum Tum Nahi Ghare Koi 
 Shab-E-Wasel Bi Hy Hijab Is Qader Kioun 
 Zara Rukh Say Anchal Utha Ker Tu Dekho 
 Jafaien Bohat Kien Bohat Zulam Dhaye 
 Kabhi Ik Nigah-E-Karam Iss Taruf Bi 
 Humesha Hoye Dekh Ker Muj Ko Barham 
 Kisi Din Zara Muskura Ker Tu Dekho 
 Jo Ulfat Main Har Ik Sitam Hy Gawara 
 Ya Sab Kuch Hy Pas-E-Wafa Tum Say Werna 
 Satatay Ho Din Raat Jis Tarha Muj Ko 
 Kisi Ghare Ko Youn Sata Ker Tu Dekho 
 Agarchy Kisi Baat Per Woh Khafa Hain 
 Tu Acha Yahi Hy Tum Apni Sii Ker Loo 
 Woh Mane Na Mane Ya Marzi Hy Un Ki 
 Maghar Un Ko Purnam Mana Ker Tu Dekho 
 Tumhain Dil Lagi Bhool Jani Peray Gii 
 Muhabat Ki Rahoun Main Aa Ker Tu Dekho






