Add Poetry

Kabhi Jazbon Ko Junbsh Ata Kar

Poet: Ahsin Fayaz By: Ahsin Fayaz, Badin

Kabhi Jazbon Ko Junbsh Ata Kar
Kabhi Lutf Ko Tan Sey Juda Kar
Kabhi Malal Main Tu Dhal Jaa
Kabhi Pyar Ka To Haq Ada Kar
Mere Gham Sey Na Ho Ranj Mujhe
Marny Dy Khushi Sey
Mujhse Aehtsab Na Barha Mujhe
Zindagi Na Ata Kar
Teri Fiqar Main Hun Phansa Huwa
Tera Haal Hai Ab Khula Huwa
Tu Ab Na Mujhe Khabar Kar Tu Ab
Na Mujhe Khata Kar
Teri Shuhrat K Shahed Sitam Mere
Itry Huwe Ye Gham Mere
Tu Shehnshah Hai Shehr Ka Main
Teri Galiyon Ka Gdagar
Mere Moat Par Aankh Nam Kiyun
Mere Marne Pe Ye Gham Kiyun
Main Guzra Huwa Khawab Hun
Mujhe Ab Na Aankh Mein Rakha Kar
Kabhi Shaam Huwi Kabhi Waqat
Mila Khol Kar Khiraki Daikh Liya
Main Fursat Ka Koi Lamha Nahin
Mujhe Youn Na Tu Dekha Kar
Abhi Jo Aa Gay Ashak Aankhon
Mein Na Jaa Tu In Wazhaton
Mein
Abhi Abhi Kuch Ahbab Gay Hain
Apne Saare Ahsan Jata Kar
Ye Khushi Bhi Mujhe Raas Aa Gai
Magar Tabyat Thori Udas Ho Gai
Tere Bakhshy Huwe Sitam Saare
Gay Hain Mazeed Mujhe Sata Kar
Aayie Dekhiye Mere Ghar K Andar
Hijar Ka Karwaan Moat Ka Manzar
Jo Dhal Gaya Hai Yahan Tu
Dhoond Usy Us hi Ka Pata Kar
Ab Tareek Ruton Mein Jaag Na
Youn Haal Na Apna Bura Bana
Mere Naam Ki Shama Bujha
Mujhe Tu Ab To Dafa Kar
Hayy.! Hath Pe Uske AhsiN Naam
Hai Apna Likha Huwa
Chalta Hai Wo Jaan-e-Jaa'n Ab
AhsiN Ko Apni Jaan Bata Kar

Rate it:
Views: 1119
03 Apr, 2019
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets