Kabi Yad Aao To Is Tarah
Poet: By: rimsha, WarminghamKabi Yad Aao To Is Tarah,K Lahu Ki Sari Tamaztian
 Tumhain Dhoop Dhoop Smait Lain,Tumhain Rang Rang Nikhar Lain
 
 Tumhain Harf Harf Main Soch Lain,Tumhain Daikhane Ka Jo Shoq Ho
 To Dayar-E-Hijr Ki Tairgi,Kohmasra Ki Nook Se Noch Lain
 
 Kabi Yad Aao To Is Tarah,K Dil-O-Nazar Main Utar Sako
 Kabi Had Se Habas-E-Janun Barhe,To Hawas Ban K Bikhar Sako
 
 Kabi Khul Sako Shab-E-Wasal Main,Kabi Khoon-E-Dil Main Sanwar Sako
 Sar-E-Rah Guzar Jo Milo Kabi,Na Thair Sako Na Guzar Sako
 
 Mere Dard Pir Se Ghazal Bane,Kabi Gungnao To Is Tarah
 Mere Zakham Pir Se Gulab Hon,Kabi Muskurao To Is Tarah
 
 Meri Dharkanian B Laraz Uthain,Kabi Chot Khao To Is Tarah
 Jo Nahi To Pir Bare Shoq Se,Sabi Rabte Sabi Zabte
 Kabi Dhoop Chayun Main Tor Do
 
 Na Shikast-E-Dil Ka Sitam Saho,Na Suno Kisi Ka Azab-E-Jan
 Na Kisi Se Apni Khalish Kaho,Yunhi Khush Phiro Yunhi Khush Raho
 
 Na Ujhar Sakian Na Sanwar Sakian,Kabi Dil Dukhao To Is Tarah
 Na Simit Sakian,Na Bikhar Sakian
 
 Kabi Bhool Jao To Is Tarah,Kisi Tor Jan Se Guzar Sakian
 Kabi Yad Aao To Is Tarah
 
 Kabi Yad Aao To Is Tarah
 
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 