Kahan Aa K Ruknay Thay Raastay! Kahan Mor Tha! Usay Bhool Ja
Wo Jo Mil Gaya Usay Yaad Rakh, Jo Nahi Mila Usay Bhool Ja
Wo Tere Nasib Ki Baarishain Kisi Aur Chat Pe Baras Gayen
Dil-E-Bekhaber Meri Baat Sun, Usay Bhool Ja, Usay Bhool Ja
Main To Gum Tha Tere Hi Dheyan Mein, Tere Aas, Tere Guman Mein
Saba Keh Gai Mere Kaan Mein, Mere Sath Aa, Usay Bhool Ja
Kisi Aankh Mein Nahi Ashk-E-Gham, Tere Baad Kuch Bhi Nahi Hai Kam
Tujhay Zindagi Ne Bhula Dia, Tu Bhi Muskura, Usay Bhool Ja
Kahein Chaak-E-Jaan Ka Rafu Nahi, Kisi Aasteen Pe Laho Nahi
K Shaeed-E-Rah-E-Malal Ka Nahi Khoon Baha,Usay Bhool Ja
Kyun Ata Hoa Hai Ghubar Mein, Gham-E-Zindagi K Fishaar Mein
Wo Jo Derj Tha Tere Bakht Mein, So Wo Ho Gaya, Usay Bhool Ja
Na Wo Aankh Hi Teri Aankh Thi, Na Wo Khwab Hi Tera Khwab Tha
Dil-E-Muntazir To Ye Kis Liye, Tera Jagna, Usay Bhool Ja
Ye Jo Raat Din Ka Hai Khail Sa, Usay Dekh, Us Pe Yaqeen Na Ker
Nahi Aaks Koi Bhi Mustaqil, Sar-E-Aaina, Usay Bhool Ja
Jo Bisat-E-Jan Hi Ulat Gai, Wo Jo Raastay Se Palat Gaya
Usay Roknay Se Hasool Kya, Usay Mat Bula, Usay Bhool Ja
To Ye Kis Liye Shab-E-Hijer K Usay Her Sitaray Mein Dekhna
Wo Falak K Jis Pe Milay Thay Hum, Koi Aur Tha, Usay Bhool Ja
Tujhay Chand Ban K Mila Tha Jo, Tere Sahilon Pe Khila Tha Jo
Wo Tha Ek Derya Wisal Ka. So Uter Gaya, Usay Bhool Ja