Add Poetry

Kahan Tum Kahan Uski Haseen Aghosh Rehne Do

Poet: Hamza Nasir By: Hamza Nasir, Karachi

Kahan Tum Kahan Uski Haseen Aghosh Rehne Do
Wafa Ilzam Hai Tou Phir Mere Sar Dosh Rehne Do

Mujhe Uski Yaad Main Raat Ka Pehar Khone Do
Hmne Jam-E-Ulfat Mai Rat Guzari Unho Ne Kaha Sone Do

HAMZA Ishq Sacha Wahi Jiski Manzil Nahi
Is Raaste Pe Mujh Ko Yun He Chalne Do

Kitab-E-Ishq Ki Galiyun Mai Mjhe Mehnosh Rehne Do
Ye Raaste Bohat Taweel Hain Mujhe Tay Kar Lene Do

Hamari Siskiyun Ko Yunhe Bazm Main Khamosh Rehne Do
Na Kro Bedar Gham-E-Zindgi Se Hume Yunhe Barbad Hone Do

Logo Ne Kaha Ghar Chor Do, Gali Chor Do, Pecha Chor Do
Mana K Tere Ahl-E-Shehar Bht Zalim Hain Inhe Yunhe Azad Chor Do

Meri Kismat Ka Sairaab Hona Ab Unko Soonp Do
Ab Ye Mohr-E-Sukut Ka Faisla Mere Mehboob Pe Chor Do

Hume Loh-E-Dil Se Unka JABEEN Choom Lene Do
Farda-E-Zindagi Mohaal Thi Ab Unhe Labb Pe Rehne Do

 

Rate it:
Views: 1000
18 Apr, 2016
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets