Add Poetry

Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai - New Year Ghazal

Poet: Shahbaz Ahmed khaskheli By: Shahbaz Ahmed, thatta,karachi

Wo Jo Haal Tha Wohi Haal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
Wohi Zindagi Ke Wabaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Be Yaqeeni Hai Ku-Ba-Ku, Wohi Na Umeedi Hai Char Su
Jo Bhi Hai Sarapa Sawal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Dast-O-Paa Wohi Chashm-o-lab Jo Gehan Mein The, Wo Gehan Mein Hain
Wohi Husn Jis Pe Zawaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Inteshaar Ki Zindagi Hai, Wohi Ghubar Si Zindagi Hai
Wohi Saans Lena Mohaal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Phool Phool Pe Titliyan Hain, Dari Hui Ke Mari Hui
Wohi Be Hisi Jo Kamal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai

Wohi Khuwab Hain Ke Azaab Hain, Wohi Rooz-O-Shab Ke Sarab Hain
Wohi Gardish-E-Meh-O-Saal Hai, Kahon Kis Tarhan Naya Saal Hai
 

Rate it:
Views: 1654
20 Mar, 2014
Related Tags on Forgiveness Poetry
Load More Tags
More Forgiveness Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets