Kamaal-E-Zabat Uss Ka Takaza Thehray
Aur Takaza Bhi Intaha Ka Thehray
Haavi Mujh Pay Aur Saath Meray Bhi Nahi
Mera Ho K Woh Naa Mera Thehray
Kash Aisi Bhi Karamat Ho Kabhi Tu
Naam Mera Uss Ka Harf-E-Dua Thehray
Woh Jafa Bhi Karay Tu Sar Ankho'n Par
Hum Wafa Bhi Karen Tu Khata Thehray
Kar K Taskheer Woh Apni Aseeri Say Kahay
Khail Mehaz Koi Apni Yeh Ada Thehray
Woh Hi Mehboob Sanam Woh Hi Husan Banay
Ik Chehra Jo Koi Nazar Mein Aa Thehray
Har Shakas Mein Ataa Hay Faraon Ka Akas
Har Shakas Ka Bass Andaaz Juda Thehray
Seenay Mein Adawat K Uthaa Rakhay Hain Pathar
Aur Talab Hy Yeh K Manzoor-E-KHUDA Thehray
Ya Janon -E- Faramoshi Ya Wisal Fakat Hasil
Iss Dard Ki Koi Tu Ab Dawa Thehray
Mukaam-E-Zaat Tu Bhoola Chukay Amber
Mansab-E- Ishq Pay Jab Say Aa Thehray