Karogi Yad Guzray Zamane Ko
Hamare Sath Ek Pal Bitane Ko
Phir Awaz Do Ge Humein Ane Ko
Kahein Ge Hum, Darvaza Nahi Qabar Se Bahar Ane Ko
Hoti Hai Kitni Takleef Ye Dil Tornay Wala Kia Janay
Milta Hai Kitna Aazab
Ya Kabar Per Phool Charhane Wala Kia Janay
Zakham Dene Ka Andaaz Kuch Aisa Hai
Zakham Dekar Pochte Hain Ab Haal Kesa Hai
Kisi Ek Se Gila Kiya Kerna Yaro
Sari Duniya Ka Mizaj Ek Jesa Hai
Kisi K Liye Muskurana Bhi Ibadat Hai
Kisi Ko Gham Mein Hansana Bhi Ibadat Hai
Chehre Par Muskurahat Phela Kar, Apne Gham Ko
Kisi Ki Khushi Ke Liye Chupana Bhi Ibadat Hai
Aasuoon K Chalne Ki Ahat Nahi Hoti
Dil K Tutne Ki Awaz Nahi Hoti
Agar Hota Khuda Ko Har Dard Ka Ehsas
To Use Yun Dard Dene Ki Adat Na Hoti