Add Poetry

Kbi Khul K Baras Mujh Pe Firdoos K Mosam

Poet: By: junaid Ellahi, Multan

Kbi Khul K Baras Mujh Pe Firdoos K Mosam
Tapte Howe Is Jism Ko Jazbon Ka Asar De

Khali Na Palatne Ki Tehi_Dast Ko Zid Hai
Bikhare Howe Us Shakhs Ko Pur Soz Jigar De

Main Reeza Ul Mas Mein Bikhra Hwa Pagal
Tuo Apni Inayat Se Mujhe Kal Ki Khbar De

Palkon Pe Bara Bojh Hai Ab Tere Hijar Ka
Sadiyon Ki Si Ek Raat Ko Lamhon Ki Sehar De

Ye Mera Muqaddar Bhi To Hamzaad Hai Mera
Tuo Sabar Ka Khaliq Hai Use Thorra Sabar De

Mein Ne Insan K Chehre Pe Bhrosa Rakha
Us Thorri Si Naiki Ka Mujhe Kuch To Ajar De

Main Sokhta Dil Dhoop Ki Shiddat Mein Para Hon
Firdoos K Malik Mujhe Toba Ka Shajar De

Aye Meri Mohabbat K Samandar K Jazeere
Tuo Mujh Ko Fiza Se Kisi Sawan Ki Khabar De

Mere hi Ta'aqub Mein Tere Hijar K Lamhe
Ae Khizar Adaa Aa Mujhe Jeene Ka Hunar De

Rate it:
Views: 361
12 Jan, 2013
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets