Add Poetry

Khaak

Poet: Paaris Sohail By: Paaris Sohail, Faisalabad

Wo Jin Ki Ik Jhalak K Liye
Main Galiyon, Koochon Mein
Dar B Dar Phira Karta Hoon
Har Kisi Se Jin Ka Pata Poochta Hoon
Agar
Dikh Jaayen Kahin Wo
To Kitne Hi Lamhaat Mere
Be-Yaqeen o Be-Khudi
Mein Kat Jaate Hain
Un K Dar Par
Kisi Ki Aahat Jo Paaun
To Pohanch Jaata Deedar Ko
Agar Na Dikhen WO
K Jis Ka Ik Deedar
Mujhe Youn Galiyaon, Koochon Mein
Khawaar Karta Hai
Jin Ki Deed
Mujhe
Khaak Mein Milaati Jaa Rahi Hai
Agar Dikh Jaayen Wo To
Phir Wohi
Be-Chaini
Phir Wohi
Be-Khudi
Phir Wohi
Deewapan
Phir Wohi
Janoo

Rate it:
Views: 486
12 Nov, 2015
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets