✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Khalid Saleem
Search
Add Poetry
Poetries by Khalid Saleem
Aag Lagey Aisey Sawan Ko
Sawan Aaya Chahta He Phir
Lekin Ab Ki Bar Nhi He
Us Barish Ki Phir Umiden
Jo K Barsi Thi Zoron Se
Dhool Attey Jismo Aur Dil Ko
Jis Ne Yaksar Dho Dala Tha
Pyasey Jazbon Ki Faslon Ko
Jis Ne Buht Sairab Kia Tha
Un Pholon Me Baas Nhi Ab
Jo K Khiltey They Sholon Me
Wo Gulshan He Ujra Ujra
Jo K Muattar Tha Phoolon Se
Sawan To Phir B Barsey Ga
Sooney Aangan Jal Tthal Hongey
Taptey Sehra Beh Niklen Ge
Koyal K Naghmey B Hongey
Qaus-E-Qaza K Rang Bhikhren Ge
Lekin In Me Tm Jo Nhi Ho
Aag Lagey Aisey Sawan Ko
Khalid Saleem
Copy
Nazuki...
Nazuki Jin Konpalon Ki
Shehar Me Mash'hoor Thi
Kya Ajab Taqdeer Apni
Haath Zkhmi Kr Gyi'n
Khalid Saleem
Copy
Aankh ka Kaajal Pyasa Baadal
Aankh ka Kaajal
Pyasa Baadal
Roshan Chehra
Khwab Sunehra
Chashmey Jharney
Meethi Baate'n
Kali Zulfe'n
Lambi Raate'n
Jaam Nashiley
Hont Raseeley
Jisam Muattar
Pyasa Saagar
Beeti Yaade'n
Hijar ki Raate'n
Nazme'n Ghazle'n
Pyar ki baate'n
Nazuk Jazbey
Qatil Rasme'n
Ishq Mukammil
Sitam Raseeda
Milan Hmesha
Khwab Guzeeda
Khalid Saleem
Copy
Meri Aankhen, Mera Libaas Ho Tum
Umar Bhar B Jo Na Bujh Paye Gi
Aye Meri Jan-E-Tamanna Aik Aisi Pyas Ho Tum
Tum Se Dekhun, Tumhi Se Tann Dhha'npu'n
Meri Aankhen Mera Libaas Ho Tum
Khalid Saleem
Copy
Kya Kabhi ye Mumkin he?
Lafz Aur Ma'ani K
Paich-O-Kham Me Uljhey Hen
Shaairo'n Ki Basti Ka
Ajab Hi Nazara He
Jins Ki Tafawat B
Sab Pe Aashkara He
Maslehat Se Aalooda
Ik Nizam Palta He
Karobar-E-Dunya Phir
Bs Isi Pe Chalta He
Ehl-E-Fun Ki Haibat Ka
Ru'ab Sab Pe Taari He
Be Takalluf Saada C
Baat Sab Pe Bhari He
Zabtey Idar B Hen
Dil Me Gham Smoney K
Ashk-E-Gham Se Dhoney K
Lafzon Me Pironey K
Jazbon K Tagayyur Bs
Dil Me Uthtey Rehtey Hn
Pr Zuba'n Pe Aatey Hi
Martabo'n Ki Haibat Se
Bhool Bhool Jatey Hen
Kya Kbi Ye Mumkin He
Khoon-E-Dil Nazar Aaye
Us Sada Me B Sab Ko
Jo K Ehl-E-Fun K Har Ik
Zabtey Se Bahar Ho
Kya Kbi Ye Mumkin He
Lafz Haar B Jaen
Tab B Dharkane'n Dil Ki
Ehl-E-Dil K Seeno Me
Ik Lehar C Daura Den
Khoon-E-Dil Ko Garma Den
Kya Kbhi Ye Mumkin He..?
Khalid Saleem
Copy
''Spirit Of the Love''
Mere Dil Ki Hasi'n
Sahilon Ki Hwa
Jb K Shabnam Bani
Aur Barasny Lgi
Ta Ba Hadd-E-Nigah
Jo B Estada Thy
Khushk-O-Be Aab Sb
Dasht K Silsily
Sb Roida Huwe
Narm Sabzey Se Ye Lehlahaney Lagey
Usi Dasht-E-Junoo'n Me
Ubharney Lagey
Zindagi K Niasha'n
Murdani C Falak Pe Jo Thi Char Soo
Abr-O-Barsat K Sath Sab Dhul Gai
Bujhti Shamme'n Diye Phir Se Jalney Lagey
Sub'h-E-Nau Ki Nasim-E-Khunak Jab Chali
Phool
Kalya'n
Nazarey Mehakney Lagey
Khushbu'on Ki Nayi Ik Kahani Chali
Is Kahani Ka Aaghaz Tm Se Huwa
Is Kahani Ka Mehwar-O-Markaz Tmhi
Is Ka Deebacha-O-Harf-E-Akhir Talak
Sb Hi Teri Muhabbat Se Mansoob Hen
Phool
Jharney
Parindey
Sabhi Rang-O-Boo
Jitney Kirdar Hen Is Kahani Me Gum
Sb Hi Tere Takhhayyul Se Ma'moor Hen
Is Ka Anjam Bs Ab Tere Hath He
Tum Jo Chaho To Sb Pyar K
Zabtey
Rabtey
Marhaley
Umar Bhar Be Ta'attul Hi Chaltey Rahen
Warna Aye Ham Nawa
Yad Rkhna Sada
Hum Usi Dasht-E-Hijra'n Me Kho Jaen Ge
Jis Se Teri Nazar Ne Nikala Hamen...
Khalid Saleem
Copy
Pur Waqaar Wo Chehra Mujhko Jb Nazar Aaye
Dilkashi K Haaley Me
Chaandni K Jesa Ik
Pur Waqar Chehra Jab
Baam Se Nazar Aaye
Chaand Dekh Sharmaye
Husan Ki Hararat Se
Dil Mera Pighalta He
Meri Har Rag-E-Jaa'n Me
Ik Diya Sa Jalta He
Jugnuwo'n Ko Lau De Kar
Raat Ko Sitaron Me
Ban K Jagmagati He
Pariyon Ki Kahani Jab
Yaad K Makano'n K
Neem Wa Darichon Se
Mujko Thapthapati Hen
Titlion Ko Rangon Ki
Bheek Jis Se Milti He
Tazgi Me Phoolon Ki
Jiski Sans Khilti He
Roshni K Haley Me
Pur Waqar Wo Chehra
Jab Nazar Me Aa Jaye
Meri Har Rag-O-Pay Me
Ik Nasha Sa Chhaa Jaye
Khalid Saleem
Copy
Kaash! Tum Samajh Saktey
Dil Se Uthi Har Ley Ko
Dard Me Smona He
Karb Ki Siyahi Me
Inko Phir Bhigona He
Tab Kahin Utartey Hen
Harf Aisey Jo Kr Den
Wajad Afreen Dil Pr
Aur B Fasoo'n Kaari
Pyas Jo Barha Jaye
Aisa Jaam Peena He
Shaairy Haqiqat Me
Dil K Zakhm Seena He
Sabr Ka Qareena He
Kher Tm Ye Sb Chhoro
Tm Nhi Smjh Sktey
Dil Ki Aankh K Aansoo
Zehar Bn K Paltey Hn
Kese Beh Nikaltey Hen
Ishq Me Khasara Hi
Kiun Sabhi Ki Manzil He
Husn Saadgi Me B
Is Qadar Kiun Sangdil He
Rat Din Akely Me
Kis Se Bat Krtey Hn
Ehle Dil Hmesha Kiun
Bedraigh Martey Hn
Ishq Ki Harart Kiun
Maapna Nhi Mumkin
Gham Ko Goshwaron Me
Dhaalna Nhi Mumkin
Rasm Aur Rivajon Ko
Taalna Nhi Mumkin
Kher Tm Ye Sb Chhoro
Tm Nhi Smjh Sktey
Kaash! Tm Smjh Sktey
Khalid Saleem
Copy
Muhabbat Falsafa He, Hadsa Ya Mo'ajza Koi
Muhabbat Falsafa He
Haadsa Ya Mo'ajaza Koi
Muhabbat Pr Hazaron Shaairon Ne Shaairy Ki He
Ye Jazba Aisa Jazba He
Jo Sb Jazbon Pe Haavi He
Jo Sb Se Ziada Insano Me Zair-E-Behas Aaya He
Kabhi Tishna Labi Dil Ki Muhabbat Me Nhi Thamti
Naii Ik Jehat Deti He
Khyalon Ko Guma'n Ko
Ik Naii Tarz-E-Fikar De Kr
Dilon Ko Gudgudati He
Nai Dunya Basati He
Naye Alfaz Chunti He
Sunehrey Khwab Bunti He
Khiza'n K Mausamo Me Rang Barangey Gul Khilati He
Buht Tareek Rahon Pr Kbi Shammen Jalati He
Jila Deti He Pazmurda Dilon Ko
Fikr Deti He
Muhabbat Har Qadam Pr Ik Naya Behroop Leti He
Lehaza Is Ziman Me Hatmi Kuch B Ho Nhi Skta
Muhabbat Har Naye Dil Me
Alag Andaz Bunti He
Zmana Ye Smjhta He Muhabbat Dil Me Basti He
Magar Ehl-E-Muhabbat To
Muhabbat Hi Me Jeetey Hen
Isi Me Ja'n Nikalti He
Muhabbat Falsafa He Hadsa Ya Mo'ajza Koi
Ye Uqda Aaj Tk Ehl-E-Khirad Pe Khul Nhi Paya.
Khalid Saleem
Copy
Yaad Ka Tara Chamak Rha He
Yaad Ka Tara Chamak Rha He Madham Madham
Hijar Ka Sawan Baras Rha He Qatra Qatra
Kaaley Naag Judai K Dastey Hen Paiham
Zehar Ragon Me Utar Rha He Qatra Qatra
Aik Nazar Me Tm Ko Dekh K Dil De Bethey
Saza Mili Phir Jivan Pura Qatra Qatra
Pyas Labon Pe Behr-E-Talatum Ko Piney Ki
Wasl K Lamhey Kitney Gureza'n Qatra Qatra
Dharti Ki Ye Aas K Sawan Jal Thal Kr De
Badal Lekin Sada Hi Barsa Qatra Qatra
Ankhen Tere Hijar Me Royiin Ik Arsey Tk
Ab Khoon-E-Dil B Beh Nikla Qatra Qatra
Wasl Ki Shab Hm Kehtey Rhey K Khoob Pilao
Magar Wo Boley Sabar Zra Sa Qatra Qatra.
Parwano Ka Jalna To Fitrat He Unki
Shama Jali Is Gham Me Hmesha Qatra Qatra
Maut Aai To Ik Din Yun Hi Mar Jaen Ge
Roz Bhla Kya Khauf Se Marna Qatra Qatra
Kya Hasil He Kuch Jivan Ka Juz Ashkon K
Wo B Dheerey Dheerey Peena Qatra Qatra
Khalid Saleem
Copy
Zindgi Jalti Rhi Raig-E-Dasht Ki Surat
Zindgi Jalti Rhi Raig-E-Dasht Ki Surat
Magar Bs Hm Hen K Ik Shan-E-Be Niyazi Se
Kusha'n Kusha'n Sooye Manzil
Chaley Hi Jatey Hen
Kahin To Safar-E-Khaar Zaar Ka Anjam To Ho
Kahin To Dukh Bhari Is Shab Ka Ikhtitam To Ho
Agarche Hosley Apne Buland They Lekin
Teri Judai Ki Deemak Ne Chaat Daley Hen
Wo Dil Jo Sakht Chatano'n Ka Sa Qaim Tha Kbi
Usi Pe Waqt Ki Sehra Gari K Chhaley Hen
Na Janey Inteha Kya He Mere Fasaney Ki
K Roshni Ki Koi B Kiran Nhi He Kahin
Kahin To Tere Milan Ki Koi Umeed To Ho
Kbi To Tujse Mulaqat Ka Saman To Ho
Zindgi Jalti Rhi Raig-E-Dasht Ki Surat
Zra Mohom Sahi Itna Hi Imkaan To Ho
Tere Hathon Ki Lakiron Me Mera Nam To Ho
Khalid Saleem
Copy
''Banjar Zamino'n pe Ishq''
Ajeeb Khitta-E-Behiss Me Ishq Kr Bethey
Dil-O-Nazar Hen Jahan Qaid Umar Bhar K Lye
Zuban-O-Harf Jahan Kooza Gari K Hen Ghulam
Magar Ehsas Ka Khanjar Pevast Seeney Me
Koi Is Zakhm K Mar'ham Ka Rwa'daar Nhi
Wo Dil Wo Ankh Kahan Se Bhla Me Laun Ab
Jo Tere Ishq K Ehsas Se Labraiz Na Hon
Me Ab Wo Harf E Shikasta Kahun To Kese Kahun
Jo Tere Husn Ki Mid'hat Me Sajda Raiz Na Hon
Yaa Muje Khitta-E-Banjar Se Bedakhal Kr Do
Ya Oss Daal K Jazbon Ko Mere Shall Kr Do
Na Hoga Ishq Yahan Faisla Atal Kr Do
''Gari Hen Kitni Saliben
Mere Darichey Me''
Muje Ye Kehney Do K Jitney B Mash'hoor Huwe
Wo Ishq Sirf Kitabon Me Hi Mil Sktey Hen
Wagarna Khitta-E-Behiss Ki Ye Riwayat He
Yahan Pe Ishq Ki Shorish Panap Nhi Skti
Dil-O-Nigah Gar Ye Jurm Kr Hi Bethey Hen
Zuba'n Ko Band Rkho Aur Sada Sulagtey Raho
Qehat Raseeda Zami'n Pr Bahaar Mushkil He...
Khalid Saleem
Copy
Muhabbat ki Nazam
Chashmey Wali Bat Suno Na
Dil Pe Mere Hath Rakho Na
Ik Lamha Mehsus Kro Na
Tere Naam Ki Sargam He Bs
Husn-O-Pyar Ki Sari Baten
Tere Naam Ka Sangam Hen Bs
Baagh Me Har Soo Taza Taza
Tere Hi Rang K Phool Khiley Hen
Teri Sanson Ki Khusbu Se
Har Dam Kitney Mehak Rhe Hen
Tera Rang He K Suraj He
Zulfen Hen Ya Ik Badal He
Teri Baali Phool Ki Daali
Gaalon Pe He Shafaq Ki Laali
Chehra Jese Phool Khila He
Ankhen Hen Ya Jaam Dhara He
Tere Honton Ki Narmahat
Jese Konpal Khilney Lgi Ho
Zulfon Aur Gardan Pe Jese
Sham Aur Sub'hu Milney Lgi Ho
Itni Sari Husn Ki Dault
Pr Jese Darban Khara He
Jan Tmharey Gaal Ka Ye Till
Mujhko Buht Acha Lgta He
Chashmey Wali Bat Suno To
Tum Nazuk C Ik Guria Ho
Pyar Ka Khail Buht Jokham He
Kya Tm Is Ko Seh Pao Gi?
Khalid K Bin Reh Pao Gi?
Jis Ne Apni Har Dharkan Ko
Tmse Hi Mansub Kiya He
Tere Husn Ka Kalma Parh Kr
Tere Ishq Ko Sajda Kiya He
Chashmey Wali Bholi Guria
Kya Tm Sath Nibha Paao Gi?
Ya Rasty Me Thak Jaao Gi...?
Khalid Saleem
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets