Add Poetry

khwahish

Poet: Mohsin Naqvi By: Rana Anis, Islamabad

Ab To Khuvahish Hai K Yeh Zakham B Kha Kar Dekhain
Lamha Bhar Ko Hi Sahi Usko Bhula Kar Dekhain

Shehar Mein Jashan E Shab E Qadar Ki Sa'aat Ayee
Aaj Hum B Terey Milney Ki Dua Kar Dekhain

Aandhiyun Se Jo Ulajhney Ki Kasak Rakhtey Hain
Ik Dia Tez Hava Mein B Jala Kar Dekhain

Kuch To Avara Havaon Ki Thakan Khatam Karain
Apney Qadmon K Nishaan Aap Mita Kar Dekhain

Zindagi Ab Tujhey Sochain B To Dum Ghut'taa Hai
Hum Ne Chaha Tha, Kabi Tuj Se Vafa Kar Dekhain

Jin K Zarron Mein Khizaan Haanp K So Jati Hai
Aisi Qabron Pe Koi Phool Saja Kar Dekhain

Dekhna Ho To Mohabbat K Azza'daaron Ko
Nashanasayee Ki Diivaar Gira Kar Dekhain

Yun B Dunya Humain Maqrooz Kiye Rakhti Hai
Dast E Qaatil Tera Ehsaan B Utha Kar Dekhain

Roney Valon K To Humdard Bohat Hain Mohsin
Hanstey Hanstey Kabi Dunya Ko Rula Kar Dekhain

Rate it:
Views: 2326
17 Oct, 2010
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets