Add Poetry

Kisi Ki Aass Ban Kar

Poet: Adi By: Adil Iftikhar, Sialkot

Kisi Ki Aass Ban Kar Phir Issey Tanha Nahin Karna
Bhale Kuch Bhi Parrey Karna Magar Aisa Nahin Karna

Khabar Kya Kis Gharri Woh Raakh Kar Daaley Terey Sapney
Yoon Hi Jaltey Shararon Say Kabhi Khaila Nahin Karna

Ye Na Ho Iss Ki Yaadein Rooh Ka Sartan Ban Jayein
Kabhi Had Say Zyada Tum Issey Socha Nahin Karna

Mohabbat Mein Shikayat Ka Kahan Dastoor Hota Hai
Gila Kar Ke Mohabbat Ko Kabhi Ruswa Nahin Karna

Wafaein Dar Haqeeqat Be-Panah Anmol Hoti Hain
Kabhi Apni Wafaon Ka Silaa Maanga Nahin Karna

Kahin Aisa Na Ho Woh Apni Manzil Ka Nishan Kho Dey
Kisi Ka Saath Rastey Mein Kabhi Chorra Nahin Karna

Rate it:
Views: 725
08 Jul, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets