Kisii Kalii Ne Bhii
Poet: Nasir Kazmi By: Fariya Riz, karachiKisii Kalii Ne Bhii Dekhaa Na Aankh Bhar Ke Mujhe
 Guzar Ga'ii Jaras-E-Gul Udaas Karke Mujhe
 
 Main So Rahaa Thaa Kisii Yaad Ke Shabistaan Men
 Jagaa Ke Chhor Gaye Qaafle Sahar Ke Mujhe
 
 Main Ro Rahaa Thaa Muqaddar Kii Sakht Raahon Men
 Ura Ke Le Gaye Jaduu Terii Nazar Ke Mujhe
 
 Main Tere Dard Ki Tughyaaniyon Men Duub Gayaa
 Pukaarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe
 
 Tere Firaaq Kii Raten Kabhii Na Bhuulengii
 Maze Mile Inhiin Raaton Men Umar Bhar Ke Mujhe
 
 Zaraa Sii Der Thaharne De Aye Gham-E-Duniaa
 Bulaa Rahaa Hai Ko'ii Baam Se Utar Ke Mujhe
 
 Phir Aaj Aa'ii Thii Ek Mauj-Ai-Hawaa-E-Tarb
 Sunaa Ga'ii Hai Fasaane Idhar Udhar Ke Mujhe
More Sad Poetry






