Parh Es Aas Pe Ke Koi Maqaam Mill Jaye
Ho Sake Tu In Ghazlon Se Koi Pegham Mail Jaye
Jeene Ki Aas Ho Gar Tu Marna Seekh Le
Zara Ghor Kar Chahe Tu Wo Payam Mill Jaye
Meri Sochne Ki Had Jawab Dati Hai Ye
Mujhe Es Tarhan Se Soch Ke Koi Gumnaam Mill Jaye
Jane Ku Tu Yahan Sub Hi Jaaen Ge Ik Din
Par Jate Hoye Ye Soch Ke Koi Kalam Mill Jaye
Es Aas Pe Lekhi Hai Ye Ghazalsareaam
Shayad Ke Koi Rota Howa Insaan Mill Jaye
Nazren Dhondti Hain Wo Manzir Yaroo
Ke Ajj Phir Se Koi Parhta Howa Quran Mill Jaye
Wo Hasti Bhi Kaash Dikh Jaye Mujhe Aaj
Ju Ab Bhi Dhonde Ke Khoda Ka Naam Mill Jaye