Koshish Kar Raha Hoon
Poet: Fayaz Mohammed (Shakir) By: Fayaz Mohammed Shaikh, MUMBRABe-Waja Muskurane Ki Koshish Kar Raha Hoon
 Is Tarah Gham Ko Chupane Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Wo Mere Haalaat Se Waqif Hon Ya Na Hon
 Bass ! Apna Dard Mitane Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 In Aandhiyon Ne Bikhera Hai, Aaj Mere Aashya’n Ko
 Ye Meri Zid Hai, Jo Ghar Ko Sajane Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Ye Waqt Ki Saazishein Hain Ya Haalaat Ka Taqaza
 Na Chahtey Huey Bhi Khamosh Rehne Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Na Jane Kitne Nasheb-o-Faraz Meri Zindagi Mein Aa Rahe Hain
 Bass ! Yun Hi Haalaat Se Ladne Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Aksar Qadam Dagmaga Jate Hain Zindagi Ki Dhup Mein
 Bass Apne Aapko Sabit-Qadam Rakhne Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Tere Qarib Aakar Bhi Tujhse Qarib Na Ho Saka
 Phir Bhi Tere Dil Mein Jaga Banane Ki Koshish Kar Raha Hoon
 
 Aysi Narazgi Ke Saath Kaise Umr Guzaroge Shakir !
 Phir Bhi Unki Berukhi Ko Apnane Ki Koshish Kar Raha Hoon
  
کس بات کی آخر جلدی ہے کس بات کا پھر یہ رونا ہے
دنیا کے مصائب جھیلنے کو مالک نے بنایا ہے جیون
آرام بھلا پھر کاہے کا پھر کاہے یہ سونا ہے
بے مقصد جینا کہتے ہیں حیوان کے جیسا جینے کو
انساں کے لیے تو یہ جیون یارو پر خار بچھونا ہے
دشوار سہی رستہ لیکن چلنا ہے ہمیں منزل کی طرف
منزل کی طلب میں عاکفؔ جی کچھ پانا ہے کچھ کھونا ہے







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 