Yaadon Kay Bawandar Say Uth Rahain Hai Takh_Yul Ki Sar Zamin Pay
Barq Bau Kay Chamkta Hai Teri Afsurda Hansee Ka Chehra
Honay Lagi Hai Teray Naaz-O-Karam Ki Rimjhim
Meri Takhleeq Main Main Woh Pehli Barsaat Si Soundhi Khusbu Aa Rahi Hai
Tanha Bahut Tanha Hai Dil Teray Jaanay Kay Baad
Sambhla Nahi Wajood Shorishon Main Bhi Doob Jaanay Kay Baad
Zamanaa To Samjhtaa Hai Isay Shauq-I-Fitoor Mera
Har Chahray Main Agar Dhoondta Hoon Teray Wajood Ki Parchainan
Aur Uqta Kay Uth Aataa Hoon Phir Apnay Khyaalon Ki Duniya Main
Siyaah Aur Siyaah Ho Jaati Hain Phir Meri Tanhaaiyaan
Ab Tu Bani Hai Kisi Ga_Ir Ki Zindagi Ka Unwaan
Ab Teri Raatain Uski Baahon Main Basi Rehti Hain
Ab Na Us Ulfat Ki Haqeeqat Baqi
Phir Bhi Nadaan Umeedain Dil Main Banin Rehtin Hain
Puchta Hoon Main Aksar Apni Talkh Raaton Say
Ki Kya Hai Aqaayud-I-Mehabbat Ki Asaas
Kya Hai Yeh Rasoomaaat Main Lipta Ik Shuq-I-Bekaar
Kya Hai Yeh Ishq Kay Naam Pay Paltay Huay Pazmurda Ahsaas
Kya Hai Yeh Mehabbat Yeh Mehabbat Ki Tashheeer
Kadam Bar Kadam Samjoton Ki Besood Taameer
Kya Hai Yeh Jis-O-Rooh Kay Alag Alag Meyaar
Kya Hai Parstish Pay Palta Yeh Falsafa-I-Taqdeer
Thehar Ab Zauq-I-Talab Thehar
Aaj Na Yeh Baat Baat Uthaa
Aaj Ki Raat Barstaa Hai Gujishta Mehabbat Ka Jaadoo
Aaj Ki Raat Kuch Na Keh Kuch Na Sunaa