Add Poetry

Kuch Nahin Milta

Poet: Waseeh Saha By: Shakeel Ahmed, Dubai

Kissi Ki Ankh Se Sapnay Chura Ker Kuch Nahin Milta
Mundayroon Se Charaghoon Ko Bujha Ker Kuch Nahin Milta

Koi Ik Adh Sapna Ho To Phir Acha Bi Lughta Hai
Hazaroon Khawab Ankhoon Main Saja Ker Kuch Nahin Milta

Bazahir Tum Se Hi Kerta Hun Main Saari Raz Ki Batain
Her Ik Ko Dastan E Dil Suna Ker Kuch Nahin Milta

Mujhay Akser Sitaroon Se Yahi Awaz Aati Hai
Kisi Ki Yaad Main Neendain Ghunwa Ker Kuch Nahin Milta

Jigher Ho Jayay Gha Chalni Yeh Ankhain Khoon Royain Ghi
WASEE Befaiz Logoon Se Nibha Ker Kuch Nahin Milta

Rate it:
Views: 327
08 Jul, 2009
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets