Kya Tum Insaan Ho?
Poet: Abrar Gulshan By: Abrar Gulshan, Kotli Azad KashmirKhaof K Lamhoon Ney
 Zindagi Ki Cheekhoon Ney
 Maot Ki Khamoshi Ney
 Mujh Se Aaj Puchha Hai...
 Kya Tum Insaan Ho?
 
 Jo Aapney Hi Hathoon Sey
 Apney Hi Bhaiyoon Ko
 Kisi Masoom Phool Ko
 Kisi Komal Kali Ko
 Maaon Ki Mamta Ko
 Behnoon K Sohagoon Ko
 Khaof-O-Hiras Ki Aandhi Main
 Zulm-O-Jabr K Toofaa Main
 Abdi Neend Solatey Ho
 Kya Tum Insaan Ho?
 
 Kis Ki Khatir Larhtey Ho?
 Kis Ki Khatir Martey Ho?
 Yeh Kis Mazhab Main Likha Hai?
 Yeh Kis Maslik Ki Batain Hain?
 K Wehshi Darindoon K Jesey
 Yoon Aal-E-Adam-O-Hawwa Ka
 Tum Khoon Bahatey Ho
 Kya Tum Insaan Ho?
 
 Koi Science Bata Sakti Hai
 Khoon K Mushahedey Sey
 K Yeh Kisi Muslim Ka Hai
 Woh Hindu Ya Christen Ka
 Is Ka Rang Kala Hai
 Us Ka Rang Nila Hai
 Ilm K Bojh Main Dabb Kar Bhi
 Phir Bhi Kitney Jahil Ho
 Kya Tum Insaan Ho?
 
 Gharq Kar Do Sabi Bandooqain
 Fanah Kar Do Yah Bomb,Missile
 Tabah Kar Do Jangi Jahzoon Ko
 Bujhao Nafrat Ki Chingari
 Jalao Dosti Ki Shama
 Roshan Karo Chiraagh-E-Amn
 Kya Itna Tum Dey Saktey Ho...?
 Apne Aaney Waley Kal Ko....
 Haan... Tum Dey Sakte Ho...
 Agar Tum Insaan Ho To.......!
 Kya Tum Insaan Ho?????
 
 By; Abrar Gulshana
  







 
  
  
  
  
  
  
  
  
  
  
 