Add Poetry

Loat Kr Koi Aata Hai Kab Dekhiy

Poet: MOHSIN NAQVI By: HASEEB, KARACHI

Loat Kr Koi Aata Hai Kab Dekhiye
Har Garrri Su-E-Dar Be'sabab Dekhiye

Apny Zakhmon Ki Pursish Se Farigh Nahi
Kya Tera Khanda -E-Zair-Elab Dekhiye

Kitny Suraj Bujhy Kitny Taary Giry
Garm Raftari-E-Roz-O-Shab Dekhiye

Khawish-E-Zakhm Thi Phool Chun'ny Lagy
Hum Faqeeron Ka Husn-E-Talab Dekhiye

Us Se Tark-E-Taluq Bhi Kr Aaye Hum
Kya Qayamat Guzarti Hai An Dekhiye

Ek Purani Kashish Us M Abah Hai
Ek Naya Roop Hai Usko Jab Dekhiye

Asmano Ki Bakhshish Pe Mat Jaaiye
Shehr Ka Shehr Hai Tishna Lab Dekhiye

Wasl Ka Din Toh "Mohsin"Yunhi Dhal Gaya
Hijar M Kaisy Kat'ti Hai Shab Dekhiye

Rate it:
Views: 389
09 Apr, 2012
Related Tags on Sad Poetry
Load More Tags
More Sad Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets