Maa.............
Poet: (Syed Wasi Shah) By: sumera ataria, GUDDUMaan, Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Aik Mudat Se Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Maan, Mujhe Lo-ry Sunao Na
Sula Dona Mujhe
Maan, Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Rat-Jagey Ab Tu Muqadar Hain Meri Pulkon Ka
Neend Aye Tu Liye Aati Hai Bagdad Ki Yaad
Ankh Lagte He Koi Bewa Utha Deti Hai
Pait Kitna He Bharon Bhook Nahi Mit-ti Hai
Jaltay Basra Ki Mujhe Piyass Jaga Dete Hai
Koi Qandhar Ki Waadi Se Bulata Hai Mujhe
Zikr Qandoz Ka Aye Tu Mujhe Lagta Hai
Kaat Ker Sar Koi Hansta Hai, Jalata Hai Mujhe
Bomb Ki Awazain Mujhe Kuch Nahi Kehti Hain Magar
Zakham In Bacho Ke Sone Nahi Dete Hain Mujhe
Maan Meri Ankhain Tu Pather Ki Hui Jati Hain
Nojawaan Lashey Yeh Ronay Nahi Dete Hain Mujhe
Mere Seene Per Rakho Hath
Rula Dona Mujhe..
Maan, Mujhe Lo-ry Sunao Na
Sula Dona Mujhe
Maan, Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Aik Mudat Se Mujhe Neend Nahi Aati Hai
کس بات کی آخر جلدی ہے کس بات کا پھر یہ رونا ہے
دنیا کے مصائب جھیلنے کو مالک نے بنایا ہے جیون
آرام بھلا پھر کاہے کا پھر کاہے یہ سونا ہے
بے مقصد جینا کہتے ہیں حیوان کے جیسا جینے کو
انساں کے لیے تو یہ جیون یارو پر خار بچھونا ہے
دشوار سہی رستہ لیکن چلنا ہے ہمیں منزل کی طرف
منزل کی طلب میں عاکفؔ جی کچھ پانا ہے کچھ کھونا ہے






