Add Poetry

Maa

Poet: Abdul Rehman By: Abdul Rehman, karahi

Jub Kabhi Zindagi Udaas Lagay
Jub Kahin Bhi Sukoon Na Pao Tum

Koi Pursan-E-Haal Na Poochay
Sari Duniya Say Haar Jao Tum

Tub Meray Doost Sirf Ik Hasti
Tum Pay Nazrain Karam Ki Dalay Gi

Tum Say Sari Udasian Lay Kar
Rahat-E-Qalb Tum Ko Bakhshay Gi

Jo Kahin Say Bhi Na Muyassar Ho
Woh Sukoon Maa Kay Paas Hai Humdum

Dekh Kar Dard Apnay Bacchay Ka
Aankh Ho jati Hai Jis Ki Purnam

Dost Tujh Say Kahon Main Kia Hai Maa
Muhabbaton Ka Ik Jahan Hai Maa

Teri Duniya Main Gar Andhera Ho
Roshni Denay Ko Shama Hai Maa

Qadam K Neechay Hai Jannat Us Kay
Yaani Jannat Ka Aasman Hai Maa

Mashwara Mera Hai Tujhay Humdum
Todna To Na Kabhi Maa Ka Bharam

Banday Woh Hi Kamal Rakhtay Hain
Jo Apni Maa Ka Khayal Rakhtay Hain

K Hadees Main Yah Kalam Hota Hai
Beta Maa Ka Ghulaam Hota Hai
 

Rate it:
Views: 947
12 Dec, 2007
Related Tags on General Poetry
Load More Tags
More General Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets