Jab Se Dekha Hai Maine Teri Tasveer Ko Guar Se
Dhadkaney Dil Ki Badhne Lagi Hain Zor Se
Aankhe Hat-ti Nahi Rukhsar-e-Til Ko Dekh Kar
Andaz-e-Husn Per Lut Gayee Zindagi Shaam Se
Jis Tarah Juda Hui Patton Ki Qismat Shaakh Se
Gham-e-Dard Ka Ehsaas Hone Laga Ab Mujhe Aapse
Halaat Ke Thapedon Ne Mujhe Zard Rang De Diya
Waqt Ki Fiza Jo Chali, Door Ho Gaya Main Baagh Se
Aye Waqt Na Chedh Taarikh Ke un Afsaano Se
Tahrire’n Mit Chuki Hain Maazi Ki un Kitabo’n Se
Kahin Aankhen Sarshaar Na Is Tanah Raat Mein
Khwabo’n Ko Bikhera Hai Ashko’n Ki Chan’d Boondo’n Se
Sher Tahrir Kar Raha Hoon Ehsaas Ki Qalam Se
Jazbaat Nazar Arahe Hain Maazi Ke Pehlu Se
Daag-e-Jism Zahir Ho To Koi Ghum Nahi Shakir
Pathar Bhi Pighalta Hai Paani Ki Chan’d Boondo’n Se